Sunday, August 19, 2007

Mera Khayal....

Shehar ki is daur mein daur ke karna kya hai,
agar yehi jina hai to dosto fir marna kya hai,
pehli barish mein train late hone ki fikar,
bhul gaye bhigte huay tahalna kya hai,
serial ke kirdaro ka sara haal hai malum,
par ma ka haal puchne ki fursat kahan hai,
aap raeth pe nange pao tehelte kyu nehi,
ekso aath hai channel, par dil behelte kyu nehi,
internet pe duniya se to touch mein hai,
lekin pados mein kaun rehta hai jante tak nehi,
mobile, landline sabki bharmar hai,
lekin jigri dost tak pahuche aise taar kahan hai,
kab dubte huay suraj ko dekha tha yaad hai?
kab jana tha shaam ka gujarna kya hai?
to dosto shehar ki is daur mein daur ke karna kya hai,
agar yehi jina hai to phir marna kya hai....


-From Rajkumar Hirani's "Lage Raho Munna Bhai"

No comments: